Thursday 28 February 2013

Chhutti Ki Ghanti Sunte Hi Wo Bhag Ke Kamre Se Bahar Aana

Chhutti Ki Ghanti Sunte Hi Wo Bhag Ke Kamre Se Bahar Aana


Chhutti Ki Ghanti Sunte Hi Wo Bhag Ke Kamre Se Bahar Aana
Fir Hashte Hashte Doshton Se Mil Jaana
Kaash Wo Dosht Aaj Bhi Mil Jaate
Dil Main Fir Se Bachpan Ke Phool Khil Jaate

Udaasiyun ka ye mosam Badal bhi skta tha

Udaasiyun ka ye mosam Badal bhi skta tha  


Udaasiyun ka ye mosam Badal bhi skta tha ,
Wo chahta to mayra Sath Chal bhi skta tha
Wo Shakhs tuney jisay Chornye ki jaldi ki
Taray Mizaj k sanchy main dhal bhi skta tha
Wo jaldbaaz khafa ho k chaldia warna
Tnaazaat ka koi hal nikal b skta tha
ANNA ne hath uthnay nahi diye warna
Meri dua say wo pather pigal bhi skta tha
Tamam UMAR tera muntazir raha Mohsin.
yeh aor baat k wo rassta badal bhi skta tha

Bohat Masroof Lamhon Mein

Bohat Masroof Lamhon Mein

  
Bohat Masroof Lamhon Mein
Khbhi Ek Pal Ko Socho To
KOi Kitna Akaila hay
Kisi ki Zindgi Tum Ho
KIsi Ki Bandgi Tum Ho
Kisi Ko Teri Khawahish Hay
KIsi KI Chahtein Tum Ho
hbi Ek Pal Ko Socho To
Tumhari Bewafai Nay
Tumhari La,perwahi Nay
Tumhari Beniazi Nay
Kisi Ko Mar Dala Hay
Koi Zinda To Hay Lakin
Faqat wo Sans Laita Hay

Zara Ek Pal Ko Socho To
Koi Kitna Akaila Hay
Kisi Ki Zindgi Tum Ho.

Main Ab Ronay Say Darti Hun Judaa Honay Say Darti Hun

Main Ab Ronay Say Darti Hun Judaa Honay Say Darti Hun

  
Main Ab Ronay Say Darti Hun Judaa Honay Say Darti Hun,
Mere Aankhen Batati Hain Kay Main Sonay Say Darti Hun.

Mera Haath Pakar Lyna Mujhe Tanha Nahi Karna,
Ye Duniya Ek Mela Hai Tumhen Khonay Say Darti Hun.

Jab Hansti Hun To Kyun Palkon Kay Konay Bheeg Jaatay Hain,
Tumhen Maloom Hai Main Is Tarha Ronay Say Darti Hun.

Jab Say Khuwab Dykha Hai Tum Mujhe Chhor Jao Gay..!
Main Ab Khuwabon Say Darti Hun Main Ab Sonay Say Darti Hun...!~

Wednesday 27 February 2013

Araam se likh rahe the hum

Araam se likh rahe the hum

 
Araam se likh rahe the hum,
 usne qalam apne naam karliya.
Abhi rakha tha qadam jawani me, 
usne jawani apne naam kar liya.
Tadap ke jee lete hum har dard ka jaam bhi pee lete.
dekhte hi dekhte saari zindagani apne naam karliya..

Meri Dunya Mein Beshak Andhera Rahy

Meri Dunya Mein Beshak Andhera Rahy

 
Meri Dunya Mein Beshak Andhera Rahy
Tere Lab Pe Hansi Ka Basera Rahy
Phool Khiltey Rahen Tere Charon Taraf
Teri her Simt khushbu Ka Dera Rahy
Zindagi Mein Teri Shaam Aaye Nahi
Ek Chamakta Damakta Sawera Rahy
TU Mere Sang ho Ye Zaruri Nahi
TU Jahan B Rahy
SIRF MERA
Rahy.

Wo ankhon ankhon me baat karna

Wo ankhon ankhon me baat karna  


Wo ankhon ankhon me baat karna
Wo baaton baaton me raat karna,

Hansi chupane ko lab k agay,

Haseen komal se hath karna,

Kabhi hasana
Kabhi rulana
Jo yad aon to laut ana..

..Humain tumhari he justajo hai,

Tumhari chahat ki arzo hai,

Ye baat tum kabhi to samjho,

Hamari chup me bhi guftugo hai,

Samajh sako to humain batana

  "HAMsafar"

  JO
  YAAD
  AON
  TO
LAUT
  ANA .

Kuch Dil Ki Lägi Tm Chero

Kuch Dil Ki Lägi Tm Chero

 
Kuch Dil Ki Lägi Tm Chero
Kuch Dil Lgänä Hm Sekhein,
Küch Pyär Ki Bäten Tm Käro
Kuch Pyär Nibhänä Hm Sikhen,
Küch Näzär Kä Ishärä Tm Käro
Kuch Änkh Milänä Hm Sekhen,
Küch Jän Ki Bäzi Tm Lägäo
Kuch Jän Sy Jänä Hm Sekhen,
Küch Milny Ki Tm Ääs To Do
Kuch Wäqät Py Änä Hm Sekhen...

Pyar woh aur mere dil mein barhaa deta hai

Pyar woh aur mere dil mein barhaa deta hai


Pyar woh aur mere dil mein barhaa deta hai,
Kabhi rota hai kabhi mujh ko rulaa deta hai,

Kaun aata hai meri ankhon mein jugnu le ker,
Khawhishain kaun mere dil mein jaga deta hai,

Pehle karta hai bare naaz se be-barg o samar,
Phir meri rooh mein phool woh khilaa deta hai,

Woh mera chand meri ankhon se aujhal ho kar,
Ik sitara meri palkon pe sajaa deta hai,

Us ki har roz ki mulaqat se dar lagta hai,
Roz milta hai to ik zakham neya deta hai,

Apni qurbat mein bhi rakhta hai woh furqat ki fizaa,
Mera apna hi to hai mujh ko sazaa deta hai,

Aatish-e-gham se mere dil ko jalaata hai Nadeem,
Woh ajab shakhs hai sholay ko hawaa deta hai...

Sapne Hain Yaadein Hain Or Buhat Kuch,

Sapne Hain Yaadein Hain Or Buhat Kuch,

 
Sapne Hain Yaadein Hain Or Buhat Kuch,

Tum Ho Tumhari Baaten Hain Or Buhat Kuch.

Nahe Chahte Hum Tumko Bhulana,

Magar Doori Hai Ek Majboori Hai Or Buhat Kuch.

Ye Doori Ek Din Cut Jaye Ge,

Ye Faasle Ek Din Simat Jayen Ge.

Phir Hum Karen Ge Baaten, Waday, Izhar Or Buhat Kuch...

Mai Itni Doori K Baad Bhi In Hawaon Main Mehsoos Karta Hon.

Tumhari Khushbou, Tumhari Aawaz, Tumhara Ehsaas Or Buhat Kuch...

Sajj Skti Hey Mehfil-E-zindgi, abi kuch Lamhey BaQi hen

Sajj Skti Hey Mehfil-E-zindgi, abi kuch Lamhey BaQi hen


Sajj Skti Hey Mehfil-E-zindgi, abi kuch Lamhey BaQi hen,
Agr Chaho, Agr Samjho, Meri Mano, To LoaT Aao...!

Main Aurat Zaat Thehri Hun

Main Aurat Zaat Thehri Hun


Main Aurat Zaat Thehri Hun,,,,,!
Mujhy Masjid Nahin Jaa'ez...


Tum 5 waqt Jaty Ho,
KHUDA se Mang Lo Mujh Ko!

Usse Keh Do K Wo Mera Hai Begana Ho Nahi Sakta

Usse Keh Do K Wo Mera Hai Begana Ho Nahi Sakta


Usse Keh Do K Wo Mera Hai Begana Ho Nahi Sakta,
Bohat Nayab Hai Us Jaisa Zamana Ho Nahi Sakta,

Tumhare Sath Jo Guzra Wo Mousam Yaad Aata Hai,

Tumhare Baad Koi Mousam Suhana Ho Nahi Sakta,

Chupana Se Nahi Chupta Dikhawe Se Nahi Dikhta,

Ye Atish-e-Ishq Hai Is Me Bahana Ho Nahi Sakta,

Tu Dil Pe Naqsh Ho Jaye Nigahon Me Sama Jaye,

K Is Dil Me Kisi Ka Phir Se Aana Ho Nahi Sakta,

Bohat Hain Chahne Wale Tere Ae Jan-e-jaan Magar.

Ye Yaad Rakh K Hum Sa Dewana Ho Nahi Sakta.
(4 Some 1) 

Wo Keh Ke Chale Itni Mulaqat Bahut Hai

Wo Keh Ke Chale Itni Mulaqat Bahut Hai  


Wo Keh Ke Chale Itni Mulaqat Bahut Hai
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai

Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Se Jana

Aisay Main Kahan Jaogi Barsaat Bahot Ha.

Tuesday 26 February 2013

Bahar aanee pe khilte Gulab dekhe hai

Bahar aanee pe khilte Gulab dekhe hai


Bahar aanee pe khilte Gulab dekhe hai,
 haseen Dil churate, behisab dekhe hai.
Jahan Gulab ke sang lipte Karr dekhe hai, 
wahin Mohabbaton me bhi kaanton ko khilte dekhe hai.

Khafa rah kar tum bhi na rah paoge

Khafa rah kar tum bhi na rah paoge


Khafa rah kar tum bhi na rah paoge,
Jaan to jaegi hamari, saans tum bhi na le paoge.

Mera Dil jisne toda wo ek haseena thi

Mera Dil jisne toda wo ek haseena thi


Mera Dil jisne toda wo ek haseena thi, 
ab zindegi bhar mujko aansuu peena hai,
Saath agar wo deti to main jee leta,
 uske bin jeena bi koi jeena hai.

Asar hai ye unki adaao ka, jab wo itne pyaare lagte hai

Asar hai ye unki adaao ka, jab wo itne pyaare lagte hai


Asar hai ye unki adaao ka, jab wo itne pyaare lagte hai,
Jab wo kahte hai vadda hai mera, juthe waade bi sachee lagte hai.

Monday 25 February 2013

Apni ankhon k sabi ashk baha kar sona

Apni ankhon k sabi ashk baha kar sona
 
 
Apni ankhon k sabi ashk baha kar sona

Tum meri yaad ka har deep bujha kar sona

Ek sitara bhi mery khayal ka baqi na rahy

Chandni shab k nishanaat mita kar sona

Drr lgta hay neend hi kaheen cheen na lay

Tera her roz meray khwab mein aa kar sona

Baad mey log gira dain to koyi baat nahi

Har tarf payar ki dewaar utha kar sona

Subeh hoty hi teray shehr se jana hay mujhay

Aaj ki raat zara mujhko mana kar sona….

Dosti jab kisi se ke jaye

Dosti jab kisi se ke jaye
 
 
Dosti jab kisi se ke jaye
dushmanon ke bhi raye li jaye
maut ka zeher hai fizaon mein
ab kahan ja ke sans li jaye
bas isi soch mein hun duba hua
ye nadi kaise par ke jaye
mere mazi ke zakhm bharne lage
aj phir koi bhool ke jaye
botalen khol ke to pi barason
aj dil khol ke bhi pi jaye

Ye zindagi terey saath ho

Ye zindagi terey saath ho
 
 
 
Ye zindagi terey saath ho,
Ye aarzoo din raat ho,
Main terey sang sang chalon,
Tu har safar mein merey saath ho,


Main kaanton par bhi chal paron,
Teri dosti ki jab barsat ho,

Kareeb Se Tumhe Dekha Toh Apna Paaya

Kareeb Se Tumhe Dekha Toh Apna Paaya
 
 
Kareeb Se Tumhe Dekha Toh Apna Paaya,
Jab Tumhe Dosti Mein Aazmaaya Toh Apna Paaya,
Tumhe Kya Naam Du Samajh Mein Nahin Aata
Dost, Pyar, Zindagi Ya Mera Saaya

Lahaq Hy Yahan Marz Mohabbat Ka Sab Hi Ko

Lahaq Hy Yahan Marz Mohabbat Ka Sab Hi Ko
 
 
Lahaq Hy Yahan Marz Mohabbat Ka Sab Hi Ko
Is Sheher k Logo'n Me Waba Aam Bohat Hay

Har Darja Sharafat Ka Libada Hay Orhaa
Aur Dil Me Haqarat Ki Bala Aam Bht Hy

Risht0n Ka Yahan Paas Tou Rakhty Hyn Sab Hii Pr
Hairat Hy k Lutne Ki Sada Aam Bht Hy

Da'wa Hy k Har Fard Wafadaar Hy Yahan
Hy Darj Kitabo'n Me Jafa Aam Bht Hy

Tum Naik Taman'naye'n Tou Rakhty Ho 'Dost'
Is Sheher Me Naiki Ki Saza Aam Bht Hy

Hawa kay hathon ki meherbaani se dar gaaye hain

Hawa kay hathon ki meherbaani se dar gaaye hain
 
 
Hawa kay hathon ki meherbaani se dar gaaye hain
Yeh phool khushboo ki raye gain se dar gaaye hain

Humein bhi rukhsat ki rasam kuch tu nibahna thi
Tumhaari aankhon mein aaye paani se dar gaaye hain

Yeh teer jitney fizaa main aakar thair gaaye hain
Kisi parinday ki bay zubaani se dar gaaye hain

Inhein bhi dariya main apni kashti utarna thi
Jo log lehron ki sar giraani se dar gaaye hain

Yeh hum jo sheher-ewafa main gumsum kharay hue hain
Phir ik taaza ghalat bayani se dar gaaye hain

Abhi tu dil ko udaas karti nahiin hain shaamein
Abhi se kyun ghum ki hukumraani se dar gaaye hain

Humein bhi saahil pe geet likhna the seepiyon se
Magar hawaon ki meherbaaniyon se dar gaaye hain

Terey Ekhlaass Say Mohabbat Ki Hai

 Terey Ekhlaass Say Mohabbat Ki Hai
 



Terey Ekhlaass Say Mohabbat Ki Hai
Terey Ehssaas Say Mohabbat Ki Hai

Tu Merey Pass Nahin Hai Phir Bhi
Teri Yaad Say Mohabbat Ki Hai

Kabhi Tu Nay Bhi Mujhay Yaad Kya Ho Ga
Main Nay Un Lamhaat Say Mohabbat Ki Hai

Jin Main Ho Sirf Teri Aur Meri Baatain
Main Nay Un Auqaat Say Mohabbat Ki Hai

Aur Jo Mahekay Ho Sirf Teri Hi Mohabbat Say
Main Nay Un Jazbaat Say Mohabaat Ki Hai

Tujh Say Milna Tu Ab Khuwaab Sa Lagta Hai ???
Mohsin Nay Terey Intezaar Say Mohabbat Ki Hai..

Sunday 24 February 2013

Waqt Muqarar Hai Her Cheez Ka Kaha Tha Tum Ne

Waqt Muqarar Hai Her Cheez Ka Kaha Tha Tum Ne


Waqt Muqarar Hai Her Cheez Ka Kaha Tha Tum Ne
Mana Lakin Chahat Ka Maza Aaj Hi Hai
Teri Ulfat Ke Sahare Guzar Jae Umr Bhi
Yehi Tamana Thi Barsoon Se Aur Aaj Bhi Hai
Kuch To Jheelna Hi Ho Ga Tum Ko Bhi Muhabbat Main
Keh Nibhane Ka Waqt Aur Maza Aaj Hi Hai
Tum Ker Do Jo Wafa In Wadoon Aur Qasmoon Ko
To Samjhoon Gi Shazi Muhabbat Ka Maza Aaj Hi Hai

Main Janti Hoon Meri Khuddariyan Tujhe Kho Deingi

Main Janti Hoon Meri Khuddariyan Tujhe Kho Deingi


Main Janti Hoon Meri Khuddariyan Tujhe Kho Deingi Mager Karoon Main Kya Mujhe Maangne Se Nafrat Hai
Apni Zaat Ke Rang Kisi Aur Per Aashna Karoon
Mujhe Hamdardiyon Se Nafrat Hai
Tanhayiyan Hi Meri Dost Mere Humraz Hain
Mujhe Humgamon, Mehfilon Se Nafrat Hai
Pasand Tou Hain Mujhe Yeh Rishte Naate
Mager Mere Dil Ko Pabandiyon Se Nafrat Hai
Jo Karsako Qabool Mujhe Khamiyon Samet Verna Mujhe Nawazishon Se Nafrat Hai
Yeh Theek Hai Main Bauhat Ana Parast Hoon
Mujhe Zindagi Ki Bekeemati Se Nafrat Hai

Mujh Se Apna Piyar Kabhi Wapis Mat Lena

Mujh Se Apna Piyar Kabhi Wapis Mat Lena


Mujh Se Apna Piyar Kabhi Wapis Mat Lena
Mujh Se Apna Piyar Kabhi Wapis Mat Lena
Mujh Se Ye Izhar Kabhi Wapis Mat Lena
Ankhain Roshan Kerna Hamaisha Mere Chehre Se
Mujh Se Ye Deedar Kabhi Wapis Mat Lena
Mujh Ko Her Pal Kehtay Rehna Ke Tum Mere Ho
Mujh Se Ye Iqrar Kabhi Wapis Mujh Se Apna Piyar Kabhi Wapis Mat Lena
Mujh Se Apna Piyar Kabhi Wapis Mat Lena
Mujh Se Ye Izhar Kabhi Wapis Mat Lena

Mein Kuch Lamhey Aur Tera Saath Chahta Tha

Mein Kuch Lamhey Aur Tera Saath Chahta Tha


Mein Kuch Lamhey Aur Tera Saath Chahta Tha,
Aankhoun Mein Jo Tham Gai Woh Barsaat Chahta Tha,
Jo Guzar Rahi Thi Mujhey Tarsatey Huey,
Aisi Haseen Aik Aur Raat Chahta Tha,
Is Key Siwa To Aur Kuch Na Maanga Tujhsey,
Sirf Aankhoun Mein Teri Apna Pyaar Chahta Tha,
Suna Hey Mujhey Bohat Chahti Hey Woh Magar,
Mein Uski Zubaan Sey Aik Baar Izhaar Chahta Tha,
Woh Mujh Per Nazre Karam Kare Mein Is Qabil Kahaan,
Is Key Chahney Waaloun Mein Apna Shumaar Chahta Tha,
Jo Zindagi Tak Haar Dey Meri Mohabbat Mein ,
Mein To Fakat Aisa Aik Bimaar Chahta Tha.

Shaam Tak Subha Ki Nazron Se Utar Jaatay Hain

Shaam Tak Subha Ki Nazron Se Utar Jaatay Hain


Shaam Tak Subha Ki Nazron Se Utar Jaatay Hain
Itnay Samjhoto Pe Jeetay Hain Ke Mar Jaatay Hain
Hum To Be Naam Iraadon Ke Musaafir Hain “Aqeel”
Kuch Pata Ho To Batayen Kidhar Jaatay Hain
Ghar Ki Girti Hui Deevarain Hi Mujh Se Achi
Raasta Chaltay Hue Log Thahar Jaatay Hain
Ek Judai Ka Wo Lamha Ke Jo Marta Hi Nahi
Log Kahtay Thay Sab Waqt Guzar Jaatay Hain
Phir Wahi Talkhi-E-Haalat Muqaddar Thahri
Nashe Kaise Bhi Hoon Kuch Din Main Utar Jaatay Hain..

Rehtey Hain Saath Saath Mai Aur Meri Tanhai

Rehtey Hain Saath Saath Mai Aur Meri Tanhai


Rehtey Hain Saath Saath Mai Aur Meri Tanhai
Kartey Hain Raaz Ki Baat Mai Aur Meri Tanhai
Din To Guzar Hi Jata Hai Logon Ki Bheer Mai
Kartey Hain Basar Raat Main Meri Tanhai
Saanson Ka Kya Bharosa Kab Chor Jain Saath
Laikin Rahain Gay Saath Main Aur Meri Tanhai
Aaye Na Tumhe Yaad Kabhi Bhul Kar Bhi Hum
Kartey Hain Tumhe Yaad Main Aur Meri Tanhai
Aa Ke Paas Kyon Door Ho Gaye Hum Se
Kartey Hain Teri Talash Main Aur Meri Tanhai
Tum Ko Rakhain Gay Saath Zeenat Bana Kay Ghar Ki
Reh Jain Phir Na Tanha Main Aur Meri Tanhai..

Koi Aawaz Aati Hai Mere Dewwane Dil Se

Koi Aawaz Aati Hai Mere Dewwane Dil Se


Koi Aawaz Aati Hai Mere Dewwane Dil Se
Jab Main Sochti Hoon
Teri Batoon Ko Ae Jaana
Khushi Se Dhurd Uthati Hai
Hansi Se Phot Pardti Hai
Mere Huntoon Ke Kunoo Main
Koi Aahat Se Hoti Hai
Dar-E-Dil Khol Deti Hoon
Tere Sapnoo Main Khoti Hoon
Na Jagti Hoon Na Soti Hoon
Khayaloon Main Meri Jaana
Main Tere Pass Hoti Hoon
Jahaan Dil Main Mere
Teri Muhabbat Ki Fasal
Charoon Taraf Lhelahati Haai
Piyar Ki Ek Laher Dhurd Jati Hai
Muje Teri Janab Bulati Hai
Satati Hai Rulati Hai
Ek Ye Awaz Aati Hai
Muje Tum Se Muhabbat Hai
Koi Awaz Aati Hai Mere Dewane Dil Se..

Main Wohi Hoon Jisay Tum Pyar Kiya Kerte Thai

Main Wohi Hoon Jisay Tum Pyar Kiya Kerte Thai

 
Main Wohi Hoon Jisay Tum Pyar Kiya Kerte Thai
Din Main So Baar Mera Naam Liya Kerte Thai
Aj Kya Baat Hai Kion Mujh Se Khafa Bethe Ho
Kya Kisi Aur Ko Dil Apna Bana Bethe Ho
Faslay Itnay To Pehlay Na Hoa Kerte Thai
Main Wohi Hoon Jisay Tum Pyaar Kiya Kerte Thai
Mujh Ko Maloom Hai Gham Hai Koi Sogaat Nahi
Tum Mujeh Apna Kaho Aysay Bhi Haalaat Nahi
Aur Ger Bhool Gaye Ho To Koii Baat Nahi
Zakham To Pehlay Bhi Is Dil Pe Laga Kerte Thai
Main Wohi Hoon Jisay Tum Pyaar Kiya Kerte Thai..

Yeh Mat kehna Keh teri Yaad Se Rishta Nahi Rakha

Yeh Mat kehna Keh teri Yaad Se Rishta Nahi Rakha


Yeh Mat kehna Keh teri Yaad Se Rishta Nahi Rakha
mein Kudh Tanha Rha“ Dil Ko Magar Tanha Nahi Rakha
Tumhari Cahton K Phool To Mahfooz Rakhey Hein
Tumhari Nafrtoon K peedh Ko Zinda Nahi Rakha
Mere Gulshan Peh Bhi Aya Hai Mosam Tang Dasti Ka
Khuda Ka Shukar Hai os Ne Mujhe Bhoka Nahi Rakh
Faqt yeh Soch kar Dil Ko Bari Tasqeen Milti Hai
Keh Mein Ne Apne Cahrey Par Koi Cehra Nahi Rakha
Mein APne Haal Mein Kush Hon Wo Apne Haal Mein Kush Hai
Keh Hum Milte To Hein Leykin Rishta Nahi Rakha
Kehin par Naam Hai Tera Kehin Tasveer Hai teri
Kitab Zist Ka Koi Warq Sada Nahi Rakha
Koi Bhi Anjman Ho Bas Tumhara Zikar karte Hein
Tumhari Yaad Say Ghafil Koi Lamha Nahi Rakha
Na Jannay Darbadar phirne Ka Keysa Shok Hai Tujh Ko
Mujhe Yeh To Bata Mujh Mein Kia Nahi Rakha
Mein Tehra Ajnabi Mujh Ko To Galyun Mein Batakhna Tha
Magar Tu Ne Bhi To Koi Dareecha Wa Nahi Rakha
Irshad is Saher Mein Kia Hadsa Ho Ga Keh Logo Ne
Kehin Pathar Nahi Rakha Sisha Nahi

Saturday 23 February 2013

Alwida Khete Howe Jab Mein Ne Us Se Talab Ki Koi Nishani

Alwida Khete Howe Jab Mein Ne Us Se Talab Ki Koi Nishani


"Alwida Khete Howe Jab Mein Ne Us Se Talab Ki Koi Nishani.!!
" Wo Musakra Ke Bole Meri-Judai Hi Kafi Hai Tujhy Rulany K Liye".

Zindagi main tanha chal raha hoon toh kya hua ??

Zindagi main tanha chal raha hoon toh kya hua ??

Zindagi main tanha chal raha hoon toh kya hua ??
janazy main hoga sara shehar dekh lena...

Pehle teri thi justuju mujh ko

Pehle teri thi justuju mujh ko

 
Pehle teri thi justuju mujh ko,
Ab mein apni talaash karta hoon..

Safar main yaad na aye koi thikana humain

Safar main yaad na aye koi thikana humain


Safar main yaad na aye koi thikana humain,
Gham zamaaney ka mila aesa parra ghabrana humain,
Ameer-e-sheher ne kaghaz ki kashtiyan de ker,
Samandron ke safar per kiya rawaana humain,
Jahan se sath zamaney ko le ke chalna tha,
Waheen pe chorr gayi gardish-e-zamana humain,
Har aik simt kharri hain buland deewarain,
Tamaan sheher nazar aaye qaid’khaana humain,
Salook sab ka dekh ker yeh dheyaan aaya,
Ke kash phir miley dushman wohi purana humain,
Nigaah parrti hai phir kyun paraayi shamon par,
Agar aziz hai Mohsin chiraagh khana humain..

Na kar dil azaari, na ruswa kar mujhe, de maafi

Na kar dil azaari, na ruswa kar mujhe, de maafi


Na kar dil azaari, na ruswa kar mujhe, de maafi,
Jurm bata, saza suna or khatm kar shikway saaray..

Friday 22 February 2013

Teri yaadain bhi hain, mere bachpan ke khilono jesi

Teri yaadain bhi hain, mere bachpan ke khilono jesi


Teri yaadain bhi hain, mere bachpan ke khilono jesi,
Tanha hota hon, to inhen lay kar beth jata hoon..

Mohabat kaisay mar jaye

Mohabat kaisay mar jaye


Mohabat kaisay mar jaye,
badan main jo khoon ki manind,
jo hai aik janoo ki manind,
subha aur sham kay hr pal main,
jo hai aik sakoon ki manind,
Mohabat kaisay mar jaye,
Woh rahti hai dua ban kar,
Woh chalti hai hawa ban kar,
Woh sumandar kay talatam main,
Machalti hai wafa ban kar,
Mohabat kaisay mar jaye,
Woh sansoon kay sath chalti hai,
Rang ban kar nikharti hai,
Ghata ban kay woh cha jaye,
Woh khushbo ban kay mahkati hai,
Mohabat kaisy mar jaye,
Woh ebadat meray rab say hai,
Tahajud kay saray sajdoon main,
Woh rafaqat hr aik shab say hai,
Woh laboon pay vird karti hai,
Mohabat kaisay mar jaye,
Mohabat mar nahi sakti..

Sazaa ke taur pe kaatna yeh zindagi apni

Sazaa ke taur pe kaatna yeh zindagi apni


Sazaa ke taur pe kaatna yeh zindagi apni,
Wafaa be’mol bhi miley to pyaar mat karnaa..

Umar ek aisi bhi hoti hai ke jis mein dil ko

Umar ek aisi bhi hoti hai ke jis mein dil ko


Umar ek aisi bhi hoti hai ke jis mein dil ko,
Achi lagti hai har ek baat haqeeqat ke siwaa..

Iss baat ka malaal hai, shikwa nahin mujhe

Iss baat ka malaal hai, shikwa nahin mujhe


Iss baat ka malaal hai, shikwa nahin mujhe,
Wo shaks paas reh kd bhi samjha nahin mujhe…

Hamarey haal pe kis ki nawazishen hon gi

Hamarey haal pe kis ki nawazishen hon gi

 
Hamarey haal pe kis ki nawazishen hon gi,
Khayal o khawb ki be’faiz dastiken hon gi,
Tumhare husn ke charchey har ik zubaan par hain,
Tumhari zaat se kis ko shikayten hon gi,
Tumhare sheher ke munsif hain lootney waley,
Tumhare sheher ki yeh bhi riwaayete’n hon gi,
Hasool-e-adal ki khaatir chale to ho lekin,
Qadam qadam pe lakhon rukaawte’n hon gi,
Jahan milain na tahafuz kisi ki izat ko,
Wohi to ghair’yakeeni hakoomtain hon gi,
Challak gaye peyaaleyy hamari ankhon ke,
Tumhari aankh ki saari karaamtain hon gi,
Nisaab-e-ishq mein shaamil karain ge,
Tumhare husn ki jitni wazaahtain hon gi,
Uthaa rahe hain jo Farooq maikadey se mujhe,
Kisi ko zeher pilaaney ki saazishen hon gi..

Mujh ko to hosh nahin tum ko khabar ho shayed

Mujh ko to hosh nahin tum ko khabar ho shayed


Mujh ko to hosh nahin tum ko khabar ho shayed,
Log kehtey hain ke tum ne mujhe barbaad kiyaa..

Khamoshi mein shor tha mene suna kuch bhi nahin

Khamoshi mein shor tha mene suna kuch bhi nahin


Khamoshi mein shor tha mene suna kuch bhi nahin,
Us ne sab kuch de diya lekin kuch kuch bhi nahin,
Tujh ko kya maloom aye jaan-e-jahan tere bagher,
Mera jeevan katt geya aur mein jiya kuch bhi nahin,
Hukam yeh hum ko mila us ke siwaa kuch mangiye,
Uth gaye dast-e-dua, lab par dua kuch bhi nahin,
Teri khatir umar bhar ka rat’jaga hum ko kubool,
Chahton main aik shab ka jaagna kuch bhi nahin,
Pyar se dekha mujhe lab bhi hilay us ke Khaleel,
Dil dharrak utha mera lekin hua kuch bhi nahin..