Wednesday 30 January 2013

Tanhai kisi ka intezar nahi karti

Tanhai kisi ka intezar nahi karti


Tanhai kisi ka intezar nahi karti,
Kismat kabhi bewafai nahi karti,
Unse door hone ka asar hai warna,
Parchai kabhi jism par waar nahi karti…

Pyaar Karke Jatayein Ye Jaruri To Nahi

Pyaar Karke Jatayein Ye Jaruri To Nahi


Pyaar Karke Jatayein Ye Jaruri To Nahi,
Yaad Karke Koi Bataye Ye Jaruri To Nahi,
Rone Wala To Dil Me Hi Ro Leta Hai,
Aankh Me Aansoon Aayein Ye Jaruri To Nahi…

Jaadu Sa Hai Teri Har Baat Me

Jaadu Sa Hai Teri Har Baat Me


Jaadu Sa Hai Teri Har Baat Me
Yaad Aata Hai Tu Din Or Raat Me
Kal Dekha Tha Jab Tumhara Sapna
Tab Bhi Tha Mera Haath Tumhare Haath Me..

Door Nigahon Se Baar Baar Jaaya Na Karo

Door Nigahon Se Baar Baar Jaaya Na Karo

 
Door Nigahon Se Baar Baar Jaaya Na Karo,
Dil Ko Is Kadar Tadpaya Na Karo,
Tum Bin Ek Pal Bhi Jee Nahi Sakenge Hum,
Ye Ehsaas Baar Baar Dilaya Na Karo…

Tuesday 29 January 2013

Kya us se chupaaon ke nahin ghair bhi itna

Kya us se chupaaon ke nahin ghair bhi itna


Kya us se chupaaon ke nahin ghair bhi itna,
Kya us ko bataaon, mera apnaa to nahin woh.

Bicharrney waley ne waqt-e-rukhsat kuch iss nazar se palat ke dekha

Bicharrney waley ne waqt-e-rukhsat kuch iss nazar se palat ke dekha


Bicharrney waley ne waqt-e-rukhsat kuch iss nazar se palat ke dekha,
Ke jese woh bhi yeh keh raha ho, tum apne ghar ka khayaal rakhnaa..

Bohat sakoon se huyi band aankh uss lamha

Bohat sakoon se huyi band aankh uss lamha


Bohat sakoon se huyi band aankh uss lamha,
Jab us ne hath mein thaami meri kalaayi hai..

Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai

Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai

 
Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai,
Ke thaktaa ja raha hai humsafar ahistaa ahistaa..

Chott jis din se dil par khaayi hai

Chott jis din se dil par khaayi hai

 
Chott jis din se dil par khaayi hai,
Ab to koi haadsaa nahin hota..

Chale they aik nazar teri bazm dekh aayen

Chale they aik nazar teri bazm dekh aayen

 
Chale they aik nazar teri bazm dekh aayen,
Yahan jo aye yahin be-ikhtyar beth gaye..

Hashar mein milne ka vaada to karo

Hashar mein milne ka vaada to karo

 
Hashar mein milne ka vaada to karo,
Hum abhi hashar barpaa kartey hain..

Sunday 27 January 2013

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah


Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah
Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah
Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,
Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah

Youn Hi Umeed Dilatay Hai Zamaney Walay

Youn Hi Umeed Dilatay Hai Zamaney Walay

 
Youn Hi Umeed Dilatay Hai Zamaney Walay,
Kab Lout Ka Aatay Hai Chor Ke Janay Walay..

Taqseem ho geya hon khairaat ki tarah

Taqseem ho geya hon khairaat ki tarah


Taqseem ho geya hon khairaat ki tarah,
Duniya kisi fakeer ki chadar lagi mujhe..

Sunehri khawb ankhon mein buna kartey they hum dono

Sunehri khawb ankhon mein buna kartey they hum dono


Sunehri khawb ankhon mein buna kartey they hum dono,
Parindon ki tarah din bhar urra karte they hum dono,
Ilaahi zindagi yun hi mohabbat mein guzar jaye,
Nimaaz-e-fajar parh kar yeh dua kartey they hum dono,
Hamesha thandi ho jati thi chaye baaton baaton mein,
Woh batain jo un ankhon se kiya karte they hum dono,
Hawaa ke aik jhonkey se larz jatey dareechon main,
Chiraghon ki tarah shab bhar jala kartey they hum dono,
Mohabbat mein katthan rastey bohat asaan lagtey they,
Pahaarron par sahulat se charha karte they hum dono,
Hassan ruswayi ka hadsha kabhi dil main nahin aya,
Khayaalon aur khawbon mein mila karte they hum dono..

Bataaon kya miley ga un ko hum se aese

Bataaon kya miley ga un ko hum se aese


Bataaon kya miley ga un ko hum se aese,
Bewajah woh khafaa hon to main kya karon.

Saboot doon ga main tujhe wafaaon ka apni

Saboot doon ga main tujhe wafaaon ka apni

 
Saboot doon ga main tujhe wafaaon ka apni,
Zara sa dil ko mere tum sakoon lene doo..

Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai

Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai


Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai
Rung Phootey Kahin Khushboo Ki Rasan Tooti Hai
Maut Aai Hai Ke Taskeen Ki Saa’t Aai
Saans Tooti Hai Ke Sadiyon Ki Thakan Tooti Hai
Dil Shikasta Tou Kai Baar Howay Thay Laikin
Ab Ke Yun Hai Ke Her Ek Shaakh-e-Badan Tooti Hai
Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni
Darmiyaan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti Hai
Silsila Tujh Se Bicharnay Ka Kahan Khatam Howa
Ek Zamaaney Se Raah-o-Rasm-e-Kuhaa.n Tooti Hai
Mere Yaaron Ke Tabassum Ki Kiran Maqtal Mein
Nok-e-Neza Ki Tarha Zair-e-Kafan Tooti Hai
Reza Reza Mein Bikharta Gaya Her Suu “Mohsin”
Sheesha Sheesha Meri Sangeeni-e-Fun Tooti Hai

Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad

Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad


Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad
Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad
Mein Shikwah Ba Lab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yaad
Shayad Ke Mere Bhoolnay Waalay Ne Kia Yaad
Kia Jaaniye Kia Ho Gaya Arbaab-e-Junoo.n Ko
Jeenay Ki Adaa Yaad Na Marnay Ki Adaa Yaad
Kia Lutf Ke Mein Apna Pataa Aap Bataaon
Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad
Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Laikin
Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad

Diya Khud Se Bujha Dena

Diya Khud Se Bujha Dena


Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena ?
Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena
Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena
Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena
Main Teri Dastaras Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena
Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena
Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena
Mera Sar Sab Se Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena
Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena

Jee sakain ge ya nahin, ab aur hum us ke baghair

Jee sakain ge ya nahin, ab aur hum us ke baghair


Jee sakain ge ya nahin, ab aur hum us ke baghair,
Poochta phirta hai kyon, us ko agar maloom hai..

Sunday 20 January 2013

Aur duniyaa se bhalaayi ka silaa kya miltaa

Aur duniyaa se bhalaayi ka silaa kya miltaa


Aur duniyaa se bhalaayi ka silaa kya miltaa,
Aayina mein ne dikhaya tha ke pathar barsey..

Tuesday 15 January 2013

Hamarey paaon mein to tum ne zanjeer-e-wafaa daali

Hamarey paaon mein to tum ne zanjeer-e-wafaa daali


Hamarey paaon mein to tum ne zanjeer-e-wafaa daali,
Tumhaarey hath se kyon rishtaa mehr o karam chootta..

Thursday 3 January 2013

Tum laut kay anay kaa takaluf mat karna

 
Tum laut kay anay kaa takaluf mat karna
 
 
[[[[[[[[[tum laut kay anay kaa takaluf mat karna]]]]]]]]
[[[[[[[[[[[aik mohabat hum do baar nahi kartay]]]]]]]]]
4 Some one