Saturday 24 November 2012

Silsila Sa Janaab Banta Gaya

Silsila Sa Janaab ! Banta Gaya


Silsila Sa Janaab ! Banta Gaya
Ik Haqeeqat Wo Khwaab Banta Gaya,

                            Aks Paani Mein Dekhnay Ke Lye
                         Kaisay Chehra Gulaab Banta Gaya,


Ham Ne Koi Sawaal Tak Na Kia
Wo Mukammal Jawaab Banta Gaya,
 

Pehlay Unwaan Tha Wafa Ka Jo Shakhs
Baad Mein Wo Kitaab Banta Gaya,

Neend Ka Tootna Bhee Apni Jaga
Khwaab Bhee Ek Azaab Banta Gaya,

Dekhnay Mein Tha Ek Lafz Magar
Ishq Poora Nisaab Banta Gaya,

Ham Haqeeqat Samajh Rahay Thay Jisay
Rafta Rafta Saraab Banta Gaya,

Saaray Aalam Mein Ham Howay Tanha
Sab Ka Wo Intekhaab Banta Gaya,

Pehlay Dil Torna Bura Tha Batool
Baad Mein Ye Sawaab Banta Gaya.

Friday 16 November 2012

Muhabat Ka Pata Payaa Nahi Jaata

Muhabat" Ka Pata Payaa Nahi Jaata
" Muhabat" Ka Pata Payaa Nahi Jaata."
"Kisi apne Ko Kabhi Bhulaya Nahi Jata."
" Apko Rakha Hai Dil ki Us Jagha mein."
"Jahan Sabhi Ko chhupaya Nahi Jaata.."

Monday 12 November 2012

Mere Dost yaad ham Qyamat taq karenge


Mere Dost yaad ham Qyamat taq karenge


Mere Dost yaad ham Qyamat taq karenge,
 aitbaar ham teri har baat ka karenge,
 Tu naraaz hoga jo meri aakhri saanson me bhi,
 to qasam khuda ki tuje manane ke baad hi ham marege.

Aitbaar-e-kismat kisko hai


Aitbaar-e-kismat kisko hai

 
Aitbaar-e-kismat kisko hai,
 mil jaye khusi inkar kisko hai,
 Kuch majbooriya hain mere dost,
 warana dooriyo se pyaar kisko hai.

Aapki Nigahon me jabse jhaakkar dekha hai


Aapki Nigahon me jabse jhaakkar dekha hai


Aapki Nigahon me jabse jhaakkar dekha hai,
 koi bhi Aaina accha nahi lagta,
Aapki Mohabbat pe aise hue hai Aashiq ki aapko,
koi aur dekhe to accha nahi lagta.

Sunday 11 November 2012

Ab magar kuch bhi nain, kuch bhi nahin ho sakta


Ab magar kuch bhi nain, kuch bhi nahin ho sakta

 
Ab magar kuch bhi nain, kuch bhi nahin ho sakta,
Apne jazbon se yeh rangeen shararat na karo,
Kitni masoom ho, naazuk ho, hamaqat na karo,
Baar’haa tum se kaha tha ke mohabbat na karo..

Rishtaa tore ke janey waley


Rishtaa tore ke janey waley

 
Rishtaa tore ke janey waley,
Mujh ko chorr ke janey waley,
Ab ki Eid pe,
Mujh ko jitney card miley hain,
Un cardon mein sab se pyara,
Sab se acha,
Pehla card tumhara hai,
Mujh ko chorr ke janey waley,
Zara kaho to,
Yeh kiss aur ishaara hai ???

Hawaa ke sath chalte ja rahe ho


Hawaa ke sath chalte ja rahe ho

 
Hawaa ke sath chalte ja rahe ho,
Bohat aagey nikalte ja rahe ho,
Chale jao magar yeh to bata do,
Yeh rastey kyon badalte ja rahe ho,
Khud apne hath se yeh khat jalaye,
To ab kyon hath maltey ja rahe ho,
Humain samjhaa rahe ho pyar se tum,
Suno! tum bhi badaltey ja rahe ho,
Uthaa kar bojh kandhon per jafaa ka,
Suna hai phir sambhaltey ja rahe ho,
Lagi ho koi chott dil par jaise,
Utha kar dard chalte ja rahe ho,
Barhaa kar dosti suraj se Arshad,
Ghanney saaye main chalte ja rahe ho..

Itni si baat ne ruswaa kiya mujhe


 Itni si baat ne ruswaa kiya mujhe


Itni si baat ne ruswaa kiya mujhe,
Acha tha jo bhi shakhs woh acha laga mujhe,
Barhtey huye pyar ko us din pe waar doon,
Karte they baat baat par jab woh khafaa mujhe,
Ruswaayion ke khauf se woh kyon juda hua,
Uryaan tha us ka jism to woh pehnta mujhe,
Ghairon se poochta raha mere khuloos ko,
Barhtaa suni sunaayi se to dekhta mujhe,
Naadim hoon aik shakhss ko manoos dekh kar,
Na janey kis kheyal se chaha geya mujhe,
Ussi shauq se main aap gir paraa,
Jab yeh suna ke “thaamna saaqi zara mujhe”..
Rafiq Ahmad Saaqi

Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe


Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe

 
Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe
Jisay Qaraar Na Aaya Kaheen Bhula Ke Mujhe
Judaayiaan Hon Tou Aisi Ke Umer Bhar Na Milain
Faraib Do Tou Zara Silsilay Barha Ke Mujhe
Nashay Se Kam Tou Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam
Ke Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa Ke Mujhe
Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay
Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe
Tumhaaray Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar
Jo Dekhna Ho Tou Dekho Nazar Utha Ke Mujhe
Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer
“Faraz” Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe

Maan lai ab bhi meri jaan-e-adaa, dard na chun


Maan lai ab bhi meri jaan-e-adaa, dard na chun


Maan lai ab bhi meri jaan-e-adaa, dard na chun,
Kaam aati nahin phir koi duaa, dard na chun,
Aur kuch dair mein mujh ko chale jana hoga,
aur kuch dair mujhe khawab dikha, dard na chun,
Aik bhi dard na kam hoga keyi sadiyon mein,
Ab bhi kehta hoon tujhe waqt bachaa, dard na chun,
Woh jo likha hai kisi taur nahin ttal sakta,
Aa mere dil main koi deep jala, dard na chun,
Main tere lamss se mehroom na rah jaaon kahin,
Aakhri baar mujhe khud se laga, dard na chun,
Ab to yeh raishmi purain bhi chaddi jati hain,
Khud ko ab bakhssh bhi de, zulm na dhaa, dard na chun,
Yeh nahin hon ge to khali nahin ho jaon ga mein,
Mere zakhmon se koi geet bana, dard na chun,
Kuch na de ga yeh masaayel se ulajhtey rehna,
Chorr sab kuch meri banhon mein samaa, dard na chun..

Itni si baat ne ruswaa kiya mujhe


Itni si baat ne ruswaa kiya mujhe


Itni si baat ne ruswaa kiya mujhe,
Acha tha jo bhi shakhs woh acha laga mujhe,
Barhtey huye pyar ko us din pe waar doon,
Karte they baat baat par jab woh khafaa mujhe,
Ruswaayion ke khauf se woh kyon juda hua,
Uryaan tha us ka jism to woh pehnta mujhe,
Ghairon se poochta raha mere khuloos ko,
Barhtaa suni sunaayi se to dekhta mujhe,
Naadim hoon aik shakhss ko manoos dekh kar,
Na janey kis kheyal se chaha geya mujhe,
Ussi shauq se main aap gir paraa,
Jab yeh suna ke “thaamna saaqi zara mujhe”..
Rafiq Ahmad Saaqi

Mila karo hume aksar ke jee nahi lagta tumhare bin


Mila karo hume aksar ke jee nahi lagta tumhare bin


Mila karo hume aksar ke jee nahi lagta tumhare bin,
Tumhare rabte se zindagi wajood main hai meri..

Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe


Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe


Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe
Jisay Qaraar Na Aaya Kaheen Bhula Ke Mujhe
Judaayiaan Hon Tou Aisi Ke Umer Bhar Na Milain
Faraib Do Tou Zara Silsilay Barha Ke Mujhe
Nashay Se Kam Tou Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam
Ke Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa Ke Mujhe
Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay
Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe
Tumhaaray Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar
Jo Dekhna Ho Tou Dekho Nazar Utha Ke Mujhe
Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer
“Faraz” Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe

Mamool ban chuka hai mera


Mamool ban chuka hai mera

 
Mamool ban chuka hai mera raato’n ko jaagna,
Neendein mere wajood ki ik shakhs le geyaa..

Woh jo ik shakhss phool jesa tha


Woh jo ik shakhss phool jesa tha


Khushbu’on ke nazool jesa tha,
Woh jo ik shakhss phool jesa tha,
Hum zamaney ko le ker kya kartey,
Us ke qadmon ki dhool jesa tha,
Main usey bhool hi nahin paati,
Woh meri pehli bhool jesa tha,
Us ko paana to yun bhi mushkil tha,
Aap apne khasool jesa tha,
Sofia main bhi thi anaa ki tarah,
Woh bhi apne asool jesa tha..

Ajeeb saanehaa guzraa hai mujh pe aaj ki sham


Ajeeb saanehaa guzraa hai mujh pe aaj ki sham

 
Ajeeb saanehaa guzraa hai mujh pe aaj ki sham,
Main aaj shaam tumhare hijar main udaas na tha,
Ab aik saal to yeh aik gham hi kaafi hai,
Tumhari salgiraah par bhi tumhare paas na tha..

Kash bachapn se nafrat sikhayi hoti


Kash bachapn se nafrat sikhayi hoti


Kash bachapn se nafrat sikhayi hoti,
Us se dekh kar nazreen churaayi hoti,
Na phoolon me khoshbu samayi hoti,
Us se milte to bus larai hooti,
Wo hoti ek zalim ustani jaisi,
Us ke samne sirf parhayi hoti,
Hoti rah-e-mohobat bus tanha,
Kanton se har shay sajayi hoti,
Be’rukhi be muravat adaao se,
Kuch milte yun ke ruswayi hoti,
Guzar yun jate kareeb se Aqeel,
Ke ghairon ke jaisi judayi hoti..

Sara din main aik chehra sochta rehta hoon


Sara din main aik chehra sochta rehta hoon


Sara din main aik chehra sochta rehta hoon,
Jis ko dekha nahin hai, us ko dekhta rehta hoon,
Aankhain rehen parri hain jis ke hijer mein sadiyon se,
Aayinon mein ussi ka akss choomta rehta hoon,
Sabzz parindon waley saahil ki tabeer ki khatir,
Main ik khawb ko apne khawb sunaata rehta hoon,
Wasl ke rang, shanaasha khushbu, phaillay chaaron aur,
Shaam sawerey un ke peechey chalta rehta hoon,
Dil ka dard jaganey wali aik sadaa aur main,
Apne hath mein aik lakeer si dhoondta rehta hoon,
Ik awaaz main shaamil kesi awaazain hain Ataa,
Kya kuch yaad aata hai, kya kuch bhoolta rehta hoon..
Ataa Ul Haq Qasmi

Tumhe kese bhulata main?


Tumhe kese bhulata main?

 
Tumhe kese bhulata main?
Ke jab socha tumhe bhoolon,
Mere apne, mere saathi,
Mera yeh dil, meri aankhen,
Yeh mujhse rooth jatey hain,
Tumhi ko yaad karte hain!!
Tumhe kese bhulata mein ?
Mere woh din, meri ratain,
Tumhare sath jo beetey,
Woh lamhe, pyar ki batain,
Tumhi ko yaad karte hain,
Tumhe kese bhulaata main??

Mojain, door sahil, ik sahara chahiye


Mojain, door sahil, ik sahara chahiye

 
Mojain, door sahil, ik sahara chahiye,
Aandhiyon main ghir geya hoon, ab kinara chahiye,
Doobney waley ko ik harf-e-tassali tha bohat,
Doobney waley ko tinkey ka sahara chhaiye,
Larr na paaon ga ke dunya bhar ke gham hain samney,
Sath mujh tanhaa ko ab har dam tumhara chahiye,
Kis ko ho gi jaan ki parwaah phir aye jaan-e-jaan,
Ik zara bass teri nazron ka ishara chahiye,
Ishq hai deewangi ka naam dooja dosto,
Jis ko chahain har gharri uss ka nazara chahiye..

Zindagi khawab-e-pareshaan se zeyada to nahin


Zindagi khawab-e-pareshaan se zeyada to nahin


Zindagi khawab-e-pareshaan se zeyada to nahin,
Is main tabeer bhi mil jaye yeh waada to nahin,
Baat be’baat ulajhney ki yeh huu kesi hai,
Yeh bataa tera bicharrney ka iraada to nahin,
Kon khushbuu ke peechey geya door talak,
Log saada hain magar itney bhi saada to nahin,
Kis khushi se mujhe bheja hai bata surkh gulaab,
Zulm ka yeh teri jaanib se iraada to nahin,
Bewafa hum hi sahi, khud pe bhi kuch ghaur karo,
Be’rukhi aap ki bhi hadh se zeyadaa to nahin..

Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi


Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi

 
Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi
Dil Ko Ye Baat Kis Ne Samjha Di ?
Be-Wafai Ne Khaak Kar Daali
Chaahaton Ki Hari Bhari Daali
Ik Shab Vasl Ki Guzaarish Thi
Os Ne Tasveer Apni Bhijvadi
Tere Gham Ki Jazeerah-e-Dil Mein
Phailti Jaa Rahi Hai Aabaadi
Kis Qadar Baanjh Hoti Jaati Hai
Takht-e-Ikhlaas Teri Shehzaadi
Waqt Zaalim Tha Meri Har Khwaahish
Os Ne Deewaar-e-Gham Mein Chunwa Di

Mujh se kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya


Mujh se kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya


Mujh se kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya,
Dil tujhe dekh ke dharrka to khudaa yaad aaya,
Mere dil pe to hai ab tak tere gham ka saaya,
Log kehte hain neya daur naye dukh laya,
Mera meyaar-e-wafaa hi meri majboori hai,
Rukh badal kar bhi tujhe apne muqaabil paya,
Charagar aaj sitaron ki kasam kha ke bata,
Kis ne insaan ko tabasum ke liye tarrpaya,
Log hanstey hain to is soch main kho jata hon,
Mauj-e-sailaab ne phir kis ka gharaunda dhaaya,
Uss ke andar koi fankaar chupaa betha hai,
Jaantey boojhtey jis shakhs ne dhoka khaya..

Apna to chahton mein yehi ik asool hai


 Apna to chahton mein yehi ik asool hai


Apna to chahton mein yehi ik asool hai,
Tera bhalaa bura humain sab kuch qubool hai,
Yeh umar bhar ka jaagna bekaar hi na jaye,
Tu naa mila to saari reyaazat fazool hai,
Khud hi kaha tha tu ne meri jaan chorr de,
Ab chorr di to kyon tera chehra malool hai,
Aye Maan yeh meri shohrtain meri yeh iztain,
Kuch bhi nahin bass tere kadmon ki dhool hai,
Aayi jo teri yaad to aankhain barass parri,
Iss waqt tere dard ka dil per nazool hai,
Ik doosrey ke waastey dono baney Wasi,
Guldaan mera dil hai teri yaad phool hai..

Ishq kesa ke bharosa bhi nahin tha shayed


Ishq kesa ke bharosa bhi nahin tha shayed


Ishq kesa ke bharosa bhi nahin tha shayed,
Us ne mera koi rishta bhi nahin tha shayed,
Halqat-e-yaar main jis haar ke charchey hain bohat,
Main woh baazi kabhi khelaa bhi nahin tha shayed,
Zeest karne ke sab adaab usey azbar they,
Mujh ko marney ka saleeqa bhi nahin tha shayed,
Khaak urratey huye bazaron mein dekha sab ne,
Main kabhi ghar se nikla bhi nahin tha shayed,
Us ki ankhon mein bashaarat thi naye khawbon ki,
Main usey dekh ke chonka bhi nahin tha shayed,
Aik baadal ke mere naam se mansoob hua,
Mere sehraa main to barsaa bhi nahin tha shayed..
Iftikhar Arif

Abhi kuch bhi nahin badla


Abhi kuch bhi nahin badla


Abhi kuch bhi nahin badla,
Darakhton par wohi mausam abi tak muskuratey hain,
Abhi tak surmeyi shamain hamarey sath roti hain,
Abhi tak mere honton per tumhare honton ki khushbu
Raqss karti hai,
Abhi tak meri ankhon mein tumhare khawb hanstey hain,
Abhi tak mere hathon per tumhari ungliyon
ki narm pooron se likhey sab harf
zinda hain,
Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti hai,
Abhi to raston par doodhiya pairon se parney waley
sarey naqsh qayem hain,
Abhi almaariyon mein sarey tohfey gungunatey hain,
Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujh se,
Tumhari baat kartey hain,
Bohat se saal guzrey hain,
Bohat se waqt beeta hai,
Meri chahat nahin beeti,
Meri himmat nahin guzri,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Agar chaho,
Agar samjho,
Meri maano,
To laut aao…

Saturday 10 November 2012

Ek din mere dil ko jalan dey gaya


Ek din mere dil ko jalan dey gaya


Ek din mere dil ko jalan dey gaya..

 Zindagi mujhe jeene ka kafan dey gaya..

Lakhon pholo mai se ek phol chuna humne..

Jo kanton se gehri chuban dey gaya..

Muhabat K Sapnay Dikhatay Bohat Hai


Muhabat K Sapnay Dikhatay Bohat Hai

 
Muhabat K Sapnay Dikhatay Bohat Hai

 Wo Raaton Main Hum Ko Jagatay Bohat Hai

 Mai Ankhon Mai Kajal Lagaon To Kesy

In Ankho Ko Log Rulatay Bohat Hai!

Tum Ne Chaha Hi Nahi Haalat Badal Saktay Thay


Tum Ne Chaha Hi Nahi Haalat Badal Saktay Thay

 
Tum Ne Chaha Hi Nahi Haalat Badal Saktay Thay

 Terey Aansoo Meri Aankhoon Se Nikal Saktay Thay

Tum To Theray Rahay Jheel K Pani Ki Terhan

Derya Bantay To Bohat Door Nikal Saktay Thay.