Saturday 22 December 2012

Mohabbat ki Kahani me koi Tarmeem Mat Krna


Mohabbat ki Kahani me koi Tarmeem Mat Krna


Mohabbat ki Kahani me koi Tarmeem Mat Krna,
Mujhe Tm Torr Dena pr Mujhe Taqseem Mat Krna,
Boht Honge Humaray Baad Daawa-e-Mohabbat krne Wale,
Yaad-e-Wafa Rakhna Ksi ko Tasleem Mat Krna,
Agar Lafzon me Aae Nazar Chehra Mera,
Chupke se Choo Lena Magr Toheen Mat Krna….

Bura Lagta Hai


Bura Lagta Hai


Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho
tum kisi aur ko dekho to bura lagta hai

Mery chahat ka takaza hai mere sath raho
ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai

Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon
tum mere pas sey utho tu bura lagta hai

Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko
tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai

Ye mery rooh tarasti hai tumhari khushbo ko
tum kahin aur ja k mehko to bura lagta hai

Tuesday 18 December 2012

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili


 Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili


Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz”
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili

Wednesday 5 December 2012

UngLiaa'n Meri Wafa par Na Uthana Logon

UngLiaa'n Meri Wafa par Na Uthana Logon


UngLiaa'n Meri Wafa par Na Uthana Logon...!
.
.
Jis ko Shak Hai wo kbhi Mujh se Nibaah kr Dekhy.

Kiun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaun Apne

 Kiun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaun Apne



Kiun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaun Apne_
Apni Aankhon Se Bhi Mai Zakham Chupaun Apne_

Mai To Qaaim Hun Tere Ghum Ki Badolat Warna_

Yun Bikhar Jaun K Khud Hath Na Aaun Apne_

Shair Logon K Bohat Yad Hain Auron K Liye_

Tu Mile To Mai Tujhe Shair Sunaun Apne_

Sochta Hun K Bujha Dun Mai Yeh Qamre Ka Diya_

Apne Saaye Ko Bhi Kiun Sath Jagaun Apne_

Us Ki Talwar Ne Woh Chaal Chali Hai_

Paaon Kat'te Hain Agar Hath Bachaun Apne_

Sirf itna nahi dil dukha kar gaya

 Sirf itna nahi dil dukha kar gaya

 
Sirf itna nahi dil dukha kar gaya,

Sara jeewan woh Mera sazaa kar gaya,


Jis ki tu raah takta hai sham-o- sehar,


Sab hawaley woh Tere bhalaa kar gaya,


Phool, khushbu, chaman, chand, Tarey, sabaa,


Saarey sathi woh hum se khafaa kar gaya,


Tu kahan aur yeh bewafayi kahan,


Yeh zamana Tujhe bewafaa kar gaya,


Sab darakhton pe kuch kuch likha reh gaya,


Naam aese woh Mera mitaa kar gaya,


Yaad Meri sataye gi shab bhar usey,


Aaj din bhar humain jo sataa kar gaya,


Yeh bhi mumkin hai "Aqeel" na lottay kabhi,


Jo humain chaar din ka bataa kar gaya..

December Sey Bhi Thanda Hai Teri ZULF ka Saya

December Sey Bhi Thanda Hai Teri ZULF ka Saya


December Sey ßi Thanda Hai Teri "ZULF" "ka Saya"...
Jee Chahta Hai
"JUNE" Yahee'n Aa kar Guzaar Do'n ...