Tere ishq ki intaha
chahta hun
Tere ishq ki intaha
chahta hun
meri sadgi dekh kya
chahta hun
sitam ho k ho
wada-e-behijabi
koi bat sabr-azma
chahta hun
ye jannat mubarak
rahe zahidon ko
k main ap ka samna
chahta hun
koi dam ka mehman hun
ai ahl-e-mahfil
chirag-e-sahar hun,
bujha chahta hun
bhari bazm mein raz
ki bat kah di
bara be-adab hun,
saza chahta hun
No comments:
Post a Comment