Dukh Noshta Hai To
Aandhi Ko Likha, Aahista
Dukh Noshta Hai To
Aandhi Ko Likha, Aahista,
Aye Khuda Ab Kay
Chale Zard Hawaa, Aahista,
Khawaab Jall Jaien
Meri Chashm-e-Tamanna Bujh Jaaye
Bass Hatheli Se Uray
Rang-e-Hina, Aahista,
Zakhm Hi Kholne Aai
Hai To Ujlat Kaisi ?
Chuu Mere Jism Ko,
Aye Baad-e-Sabaa, Aahista,
Tootne Aur Bekharne
Ka Koi Mosam Ho
Phool Ki Ek Dua, Maoj
Hawaa, Aahista,
Jaanti Hoon K
Becharna Teri Majboori Hai
Par Meri Jaan Mile
Mujhko Sazaa, Aahista,
Meri Chahat Mein Ab
Soch ka Rang Aane Laga
Aur Tera Piyar Bhi
Shiddat Mein Howa, Aahista,
Neend Pe Jaal Se
Parne Lage Awaazon Kay
Aur Pher Hone lagi
Teri Sadaa, Aahista,
Raat Jab Phool Kay
Rukhsaar pe Dhere Se Jhuki
Chaand Ne Jhuk Kay
Kahaa, Aur Zara Aahista.


No comments:
Post a Comment