Sunday, 24 February 2013

Shaam Tak Subha Ki Nazron Se Utar Jaatay Hain

Shaam Tak Subha Ki Nazron Se Utar Jaatay Hain


Shaam Tak Subha Ki Nazron Se Utar Jaatay Hain
Itnay Samjhoto Pe Jeetay Hain Ke Mar Jaatay Hain
Hum To Be Naam Iraadon Ke Musaafir Hain “Aqeel”
Kuch Pata Ho To Batayen Kidhar Jaatay Hain
Ghar Ki Girti Hui Deevarain Hi Mujh Se Achi
Raasta Chaltay Hue Log Thahar Jaatay Hain
Ek Judai Ka Wo Lamha Ke Jo Marta Hi Nahi
Log Kahtay Thay Sab Waqt Guzar Jaatay Hain
Phir Wahi Talkhi-E-Haalat Muqaddar Thahri
Nashe Kaise Bhi Hoon Kuch Din Main Utar Jaatay Hain..

No comments:

Post a Comment

Pages (150)1234 Next