Wednesday, 5 December 2012

Sirf itna nahi dil dukha kar gaya

 Sirf itna nahi dil dukha kar gaya

 
Sirf itna nahi dil dukha kar gaya,

Sara jeewan woh Mera sazaa kar gaya,


Jis ki tu raah takta hai sham-o- sehar,


Sab hawaley woh Tere bhalaa kar gaya,


Phool, khushbu, chaman, chand, Tarey, sabaa,


Saarey sathi woh hum se khafaa kar gaya,


Tu kahan aur yeh bewafayi kahan,


Yeh zamana Tujhe bewafaa kar gaya,


Sab darakhton pe kuch kuch likha reh gaya,


Naam aese woh Mera mitaa kar gaya,


Yaad Meri sataye gi shab bhar usey,


Aaj din bhar humain jo sataa kar gaya,


Yeh bhi mumkin hai "Aqeel" na lottay kabhi,


Jo humain chaar din ka bataa kar gaya..

No comments:

Post a Comment

Pages (150)1234 Next